Aajkal email ka use sabhi jaruri kamo me hota hai jesme se sabse jyada email ka istemal online documents ko bhejne me hota hai email id ke dvara aap koi bhi jaruri notes document photos aur send kar sakte hai vo bhi bahut hi kam time me leken agar aapko nhi pta ke email kaise karte hain to Aaj Mai aapko es post mi email bhejne ke process step by step bataungi Jesse aap bahut achhe se samajh Jayenge ki email kaise bhejte hai
Email bhejne ke leye aapke email id hona jaruri hai par aur abhi tak aapki email id nahi bani hai to aap mail Id kaise kare yah janne se pahle hmare es article email id kaise banaye ki help se pahle apni email id bna le eske bad aap es article mail kaise karte hai mai btai gaye email bhejne ki process ko falo karke email bhejne bhi bahut aasani se sekh jayenge
Email kaise karte hai
Aap email 2 tarah se bhej sakte hai phla treka hai computer ke dvara aur dusra treka hai mobile ke dvara ham aapko dono triko mobile se email kaise bheje jata hai aur computer se email kaise bheje ke bare mei batayenge to aaiye jante Hai in dono tariko ke bare me
1.email kaise bhejte hai (computer se )
1. Apne Gmail me login Kare
Computer se email bhejne ke liye sabse pahle aap Google Chrome per jakar gmail com website ko open karke Apne Gmail account se log in kare isme aapko Apne email ya Gmail ID aur password dalkar login karna hai
2.compose par click kare
Login karne ke bad aapko left side me compose ka option dikhai dega us par click karna hai
3.email id darj kare
Jaise hi aap compose par click karenge aapko ek box dikhai dega isme aapko kuchh option dikhai denge Jaise
To is option mei aapko use Insan ki email id dalna hai jise aap email bhejna chahte Hai
Subject: jab aapko subject ke option mei Apne email ka subject likhna hai ki aapka email kis liye Hai
Contact box: subject ke niche aapko ek bada box dikhai dega is per click Kare ismei aap Jo bhi message bhejna chahte Hai va likhe agar aapko koi file document your photo bhejna hai to send option ke side mei aapko kuchh vikalp dikhai de rahe honge use per click karke aap Apne computer se kisi bhi file ko email se dwara send kar sakte hai
4.Send par click kare: message likhane ke bad ya koi file ya photo attach karne ke bad aapko email ko bhejna hai to aapko message ke niche send ka option dikhai de raha hoga use per click kijiye aapka message send ho jaega
2. Email kaise bhejte Hai (mobile se)
1.Sabse pahle apne mobile mei Gmail app ko open Kare aur aapane email aur password se isme log in Kare
2. Jaise hi aap app mei log in karenge aapko phone per niche ki taraf ek pencil icon dikh Raha hoga use per click Kare
3. Agli step me aapko email bhejne ke kuchh option dikhai denge jiska matlab hai ki aap email mei kya likhna ya kahana chahte Hai email kaise likhe iske liye aap niche batai gai in steps ko follow kijiye
From: isme aapko email id dalne ki jarurat nahi Hai yaha per aapke mail id pahle se hi likhi rahti hai
To: is option mei aapko jise mail bhejna hai uska email adress dalna hai (jane email mei to cc aur bcc ka matlab)
Subject: yaha per aap email se connected lain likhe jisse ki email recipients ko pata chali sake ki mail kis bare mei hai
Compose: compose mei aapko Apne Mail se jore Puri Jankari likhni hai
4. Ab agar aap Janna chahte Hai ki email se photo kaise bheje to iske leye upar pin icon par click kare fir attach file par click kare aur koi bhi photo add kar dijiye
5. Ek bar apni sabhi details ko acche se check le you fir send ke option par click kar de aapka email send ho jayega
Email kaise dekhe
Agar aap Janna chahte Hai ki aapke dwara bheja Gaya email send hua Hai ya nahi samne wale Insan ke pass pahuncha hai ya nahi to iske liye menu ke option par click kare FIR fer usme aapko send kar option dikhai dega us par click kijiye
Isme aapko aapke dwara bheje Gaye email ke list dikhai degi isse aapko pata chal jaiga ki aapka email send hua Hai ya nahi Apne galat mail adress dala hai to aapko adress note found dikhai dega
Computer mei dekhne ke liye aapko compose ke option ke niche send mail check kar sakte hai aur aapke dwara bheje hue email ko dekh sakte hai aur aapke Gmail per koi mail aata hai to use aap compose ke niche inbox ke option mei jakar dekh sakte hai
Conclusion
Asha Karti Hu ki ab aap samajh Gaye honge ki mail kaise karte hai upar batae staps se aap bhi behad aasani se kisi Ko bhi email bhej sakte hai ummid karte Hai ki is post mei batai gai Jankari aapke liye use hogi agar ha to Apne jawab hame comment karke jarur bataye post se jure aur aapke koi sawal Ho jinhe aap puchna chahte Hai to hame jarur bataeye ham aapke help jarur karenge
Gmail kaise karte hai ki jankari ko dosto ke sath bhi share Kare taki unki bhi help ho sake lekh padhne ke liye aapka thank you